Thursday, May 29, 2008

AAWARAGI


Rehguzar ka hai pata na manzilon ki hai khabar

Chal rahe hain chalna hai kismat yehi bas soch kar...

Hum nahi hain jaante kya hai smajhdaari magar

Ye safar hai is safar mein chalna hai kismat meri.

Log kehte hain theher hai rasta mushkil magar

Hum hain kuch aise theherna jinki fitrat mein nahi,

Hann magar waadein hain jinko saath le kar hoon chala.

Bas unhi waadon mein hai meri chupi manzil kahin

Saath koi ho na ho apna safar rukta nahi.

Aur main kehta hoon isko hain yeh meri AAWARAGI

2 comments:

Unknown said...

ohhhh..... to tum shayar bhi ho?
ye tumhare aawargi.... zbardast!
mujhy b ek sher yaad aa gaya
"bainaam sa ye dard thehar(stop) kyun nahi jata, jo beet gaya hai wo guzar kyo nahi jata!
sab kuch to hai kya dhundti hai nigahe, kya baat hai main waqt pr ghar kyun nahi jata !!"

Unknown said...

"कश़्तियां नहीं तो क्या...हौसले तो पास हैं..कह दो खुदाओं से तुम कोई खुदा नहीं..."....take care